ghaib se paigham jari ho gaya
ġhaib se paiġhām jaarī ho gayā
mujh pe us kā rañg taarī ho gayā
muntazir rahne lagā dil is qadar
lamha lamha intizārī ho gayā
ek shab vo ḳhvāb meñ aayā mire
dil mirā us kā pujārī ho gayā
kuchh nasha to thā visāl-e-yār meñ
umr-bhar kī jo ḳhumārī ho gayā
jaan kī baazī lagā baiThā hai phir
phir koī āshiq juārī ho gayā
ghaib se paigham jari ho gaya
mujh pe us ka rang tari ho gaya
muntazir rahne laga dil is qadar
lamha lamha intizari ho gaya
ek shab wo KHwab mein aaya mere
dil mera us ka pujari ho gaya
kuchh nasha to tha visal-e-yar mein
umr-bhar ki jo KHumari ho gaya
jaan ki bazi laga baiTha hai phir
phir koi aashiq juari ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.