ghaibi duniyaon se tanha kyun aata hai
ġhaibī duniyāoñ se tanhā kyuuñ aatā hai
do hoñToñ ke biich ye dariyā kyuuñ aatā hai
jaise maiñ apnī āñkhoñ meñ Duub rahā huuñ
ġhairoñ ko aksar ye sapnā kyuuñ aatā hai
merī rātoñ ke saare asrār sameTe
mujh se pahle merā saayā kyuuñ aatā hai
jahtoñ ke barzaḳh meñ paañv ulajh jaate haiñ
raste meñ sāñsoñ kā rāstā kyuuñ aatā hai
saat falak kyuuñ Dhalte haiñ aañsū meñ mere
paanī kī tashkīl meñ sahrā kyuuñ aatā hai
maiñ jab ek hayūlā huuñ nafī kā to phir
har chehre meñ merā chehra kyuuñ aatā hai
ghaibi duniyaon se tanha kyun aata hai
do honTon ke bich ye dariya kyun aata hai
jaise main apni aankhon mein Dub raha hun
ghairon ko aksar ye sapna kyun aata hai
meri raaton ke sare asrar sameTe
mujh se pahle mera saya kyun aata hai
jahton ke barzaKH mein panw ulajh jate hain
raste mein sanson ka rasta kyun aata hai
sat falak kyun Dhalte hain aansu mein mere
pani ki tashkil mein sahra kyun aata hai
main jab ek hayula hun nafi ka to phir
har chehre mein mera chehra kyun aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.