gai fasl-e-bahaar gulshan se
ga.ī fasl-e-bahār gulshan se
bulbuloñ uḌ chalo nasheman se
fātiha bhī paḌhā na turbat par
jā ke lauT aa.e merī madfan se
mujh ko kaafī thī qaid-e-halqa-e-zulf
beḌiyāñ kyuuñ banā.īñ aahan se
zulf ke pech se na rah ġhāfil
dostī kar dilā na dushman se
ho garebāñ kā chaak ḳhaak rafū
taar haath aa.e jab na dāman se
nāz-o-ishva nayā nahīñ sīkhā
shoḳh tarrār hai laḌakpan se
chhoḌ kar tum agar ga.e tanhā
jī nikal jā.egā mire tan se
hai ka.ī din se muntazir 'ra.anā'
jalva dikhlāo aa ke chilman se
gai fasl-e-bahaar gulshan se
bulbulon uD chalo nasheman se
fatiha bhi paDha na turbat par
ja ke lauT aae meri madfan se
mujh ko kafi thi qaid-e-halqa-e-zulf
beDiyan kyun banain aahan se
zulf ke pech se na rah ghafil
dosti kar dila na dushman se
ho gareban ka chaak KHak rafu
tar hath aae jab na daman se
naz-o-ishwa naya nahin sikha
shoKH tarrar hai laDakpan se
chhoD kar tum agar gae tanha
ji nikal jaega mere tan se
hai kai din se muntazir 'rana'
jalwa dikhlao aa ke chilman se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.