gai guzri kahani lag rahi hai
ga.ī guzrī kahānī lag rahī hai
mujhe har shai purānī lag rahī hai
vo kahtā hai ki faanī hai ye duniyā
mujhe to jāvedānī lag rahī hai
ye zikr-e-āsmāñ kaisā ki mujh ko
zamīñ bhī āsmānī lag rahī hai
vo is husn-e-tavajjoh se mile haiñ
ye duniyā pur-ma.ānī lag rahī hai
ġhazal duniyā meñ rahtā huuñ maiñ 'akbar'
ye merī rājdhānī lag rahī hai
gai guzri kahani lag rahi hai
mujhe har shai purani lag rahi hai
wo kahta hai ki fani hai ye duniya
mujhe to jawedani lag rahi hai
ye zikr-e-asman kaisa ki mujh ko
zamin bhi aasmani lag rahi hai
wo is husn-e-tawajjoh se mile hain
ye duniya pur-maani lag rahi hai
ghazal duniya mein rahta hun main 'akbar'
ye meri rajdhani lag rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.