gai ruton ke phir aane ki dil mein aas na rakh

gai ruton ke phir aane ki dil mein aas na rakh
Zaki Tariq Barabankavi
MORE BYZaki Tariq Barabankavi
ga.ī rutoñ ke phir aane kī dil meñ aas na rakh
guzishta lamhoñ kī tasvīreñ apne paas na rakh
jo shahr-e-sang meñ jiinā hai sang-dil ban jā
tū apne siine meñ ab qalb-e-ġham-shanās na rakh
zarā sā shak bhī mohabbat meñ kufr hotā hai
yaqīñ kī had meñ tū gunjā.ish-e-qayās na rakh
ye chand pal kī ḳhushī ġham kā pesh-ḳhema hai
tabassumāt pe taskīn kī asaas na rakh
kar apne aap meñ paidā tahakkumāna rang
ab apne lahje meñ pahlū-e-iltimās na rakh
bahār-e-nau tire dāman meñ ātish-e-gul hai
barahna shāḳhoñ pe phūloñ kā ab libās na rakh
ye aate jaate ḳhayāloñ se uns kyā mā'nī
ki apne hoñToñ pe ab reza-reza pyaas na rakh
yahī charāġh to hai merī raat kā sūraj
ise ḳhudā ke liye āñdhiy.oñ ke paas na rakh
gai ruton ke phir aane ki dil mein aas na rakh
guzishta lamhon ki taswiren apne pas na rakh
jo shahr-e-sang mein jina hai sang-dil ban ja
tu apne sine mein ab qalb-e-gham-shanas na rakh
zara sa shak bhi mohabbat mein kufr hota hai
yaqin ki had mein tu gunjaish-e-qayas na rakh
ye chand pal ki KHushi gham ka pesh-KHema hai
tabassumat pe taskin ki asas na rakh
kar apne aap mein paida tahakkumana rang
ab apne lahje mein pahlu-e-iltimas na rakh
bahaar-e-nau tere daman mein aatish-e-gul hai
barahna shaKHon pe phulon ka ab libas na rakh
ye aate jate KHayalon se uns kya ma'ni
ki apne honTon pe ab reza-reza pyas na rakh
yahi charagh to hai meri raat ka suraj
ise KHuda ke liye aandhiyon ke pas na rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.