Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghair ka wo ho gaya achchha hua

Zafar Sambhali

ghair ka wo ho gaya achchha hua

Zafar Sambhali

MORE BYZafar Sambhali

    ġhair vo ho gayā achchhā huā

    apne haq meñ jo huā achchhā huā

    ishq charchā huā achchhā huā

    husn bhī mauzūa banā achchhā huā

    ham kisī chaah meñ jaañ se ga.e

    aur raqīboñ ne kahā achchhā huā

    jab zuleḳhā misr meñ rusvā huī

    kah uThā har dil-jalā achchhā huā

    us se ummīd-e-vafā kab thī hameñ

    ho gayā vo bevafā achchhā huā

    kar ke vo ārā.ish-e-husn-o-jamāl

    aur bhī kāfir-adā achchhā huā

    ham jo us chaah meñ rusvā hue

    us ne bhī jal kar kahā achchhā huā

    hijr lazzat se vāqif ho ga.e

    ham se us rūThnā achchhā huā

    vo mirī mayyat pe royā phuuT kar

    us yuuñ TuuTī anā achchhā huā

    ḳhvāb-e-ġhaflat se to ham jaage 'zafar'

    āshiyāna jal gayā achchhā huā

    ghair ka wo ho gaya achchha hua

    apne haq mein jo hua achchha hua

    ishq ka charcha hua achchha hua

    husn bhi mauzua bana achchha hua

    hum kisi ki chah mein jaan se gae

    aur raqibon ne kaha achchha hua

    jab zuleKHa misr mein ruswa hui

    kah uTha har dil-jala achchha hua

    us se ummid-e-wafa kab thi hamein

    ho gaya wo bewafa achchha hua

    kar ke wo aaraish-e-husn-o-jamal

    aur bhi kafir-ada achchha hua

    hum jo us ki chah mein ruswa hue

    us ne bhi jal kar kaha achchha hua

    hijr ki lazzat se waqif ho gae

    hum se us ka ruThna achchha hua

    wo meri mayyat pe roya phuT kar

    us ki yun TuTi ana achchha hua

    KHwab-e-ghaflat se to hum jage 'zafar'

    aashiyana jal gaya achchha hua

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now