ghair ke sath kabhi zikr hamara na karen
ġhair ke saath kabhī zikr hamārā na kareñ
ham ko bad-nām kareñ ishq ko rusvā na kareñ
dil ye kahtā hai muqaddar hai pareshāñ rahnā
aql kahtī hai ki ham zulf kā saudā na kareñ
kyā zarūrat hai balā un kī sañvāre gesū
ik nazar dekh leñ jis ko use dīvāna kareñ
kyā nahīñ jānte ham rañg-e-talavvun un kā
mehrbāñ paa.eñ bhī to arz-e-tamannā na kareñ
'beḳhud'-e-zār ko ab dekh ke jhuk jaatī haiñ
vo nigāheñ jo kabhī paas kisī kā na kareñ
ghair ke sath kabhi zikr hamara na karen
hum ko bad-nam karen ishq ko ruswa na karen
dil ye kahta hai muqaddar hai pareshan rahna
aql kahti hai ki hum zulf ka sauda na karen
kya zarurat hai bala un ki sanware gesu
ek nazar dekh len jis ko use diwana karen
kya nahin jaante hum rang-e-talawwun un ka
mehrban paen bhi to arz-e-tamanna na karen
'beKHud'-e-zar ko ab dekh ke jhuk jati hain
wo nigahen jo kabhi pas kisi ka na karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.