ghair ke ya mere haalat pe rona aaya
ġhair ke yā mire hālāt pe ronā aayā
kuchh to farmā.iye kis baat pe ronā aayā
mujh ko hairat hai ki vo pūchh rahe haiñ mujh se
un se ab kyā kahūñ kis baat pe ronā aayā
ye alag baat mujhe tum na batāo shāyad
tum ko merī hī kisī baat pe ronā aaya
is ḳhabar se to mire dil ko ḳhushī honā thī
kyoñ mujhe tark-e-mulāqāt pe ronā aayā
ye haqīqat kise ma.alūm nahīñ hai 'farmān'
kyoñ mujhe aaj ke hālāt pe ronā aayā
ghair ke ya mere haalat pe rona aaya
kuchh to farmaiye kis baat pe rona aaya
mujh ko hairat hai ki wo puchh rahe hain mujh se
un se ab kya kahun kis baat pe rona aaya
ye alag baat mujhe tum na batao shayad
tum ko meri hi kisi baat pe rona aaya
is KHabar se to mere dil ko KHushi hona thi
kyon mujhe tark-e-mulaqat pe rona aaya
ye haqiqat kise malum nahin hai 'farman'
kyon mujhe aaj ke haalat pe rona aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.