ghair ki aag mein koi bhi na jalna chahe
ġhair kī aag meñ koī bhī na jalnā chāhe
ek parvāna jo ye riit badalnā chāhe
dil ki har gahre samundar meñ utarnā chāhe
tez-rau umr ki dam-bhar na Thaharnā chāhe
qismat aisī ki jo apne the hue begāne
aur dil vo jo kisī se na bichhaḌnā chāhe
zarra zarra jise ik umr sameTā hai vo zaat
sirf ik Thes pahuñchne pe bikharnā chāhe
zaḳhm har sañg-e-malāmat abhī taaza hai ye dil
phir usī kū-e-malāmat se guzarnā chāhe
ghair ki aag mein koi bhi na jalna chahe
ek parwana jo ye rit badalna chahe
dil ki har gahre samundar mein utarna chahe
tez-rau umr ki dam-bhar na Thaharna chahe
qismat aisi ki jo apne the hue begane
aur dil wo jo kisi se na bichhaDna chahe
zarra zarra jise ek umr sameTa hai wo zat
sirf ek Thes pahunchne pe bikharna chahe
zaKHm har sang-e-malamat abhi taza hai ye dil
phir usi ku-e-malamat se guzarna chahe
- Book : Qamat (Pg. 35)
- Author : Shahid Ishqui
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.