ghair kya jaane rawish-ha-e-suKHan-dani meri
ġhair kyā jaane ravish-hā-e-suḳhan-dānī mirī
maiñ vo bulbul huuñ ki hai mujh se gul-afshānī mirī
dekh kar nākāmī-e-zauq-e-nigāh-e-kāmyāb
ban ga.ī ā.īna merā aap hairānī merī
shādmānī bā.is-e-taklīf hai mere liye
ḳhanda-e-zaḳhm-e-jigar hai ḳhanda-peshānī mirī
dil meñ kyā baaqī rahā hai ab ki ik muddat huī
miT ga.ī hamrāh mere hasrat-e-fānī mirī
ġham diyā khāne ko aur piine ko ḳhūn-e-ārzū
ḳhuub kī qismat ne ai 'taufīq' mehmānī mirī
ghair kya jaane rawish-ha-e-suKHan-dani meri
main wo bulbul hun ki hai mujh se gul-afshani meri
dekh kar nakaami-e-zauq-e-nigah-e-kaamyab
ban gai aaina mera aap hairani meri
shadmani bais-e-taklif hai mere liye
KHanda-e-zaKHm-e-jigar hai KHanda-peshani meri
dil mein kya baqi raha hai ab ki ek muddat hui
miT gai hamrah mere hasrat-e-fani meri
gham diya khane ko aur pine ko KHun-e-arzu
KHub ki qismat ne ai 'taufiq' mehmani meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.