ghair kya jaane tujhko kya samjhe
ġhair kyā jaane tujh ko kyā samjhe
ham to apnā tujhe ḳhudā samjhe
vo muāfiq ho yā muḳhālif ho
dāman-e-dost kī havā samjhe
kis ke vo dar pe jaa.e kyoñ jaa.e
jo tujhe apnā aasrā samjhe
tere mahbūb ke marātib ko
ambiyā samjhe auliyā samjhe
har sitam ko tire karam jaanā
har jafā ko tirī adā samjhe
koī kis tarah is zamāne meñ
kis ko achchhā kise burā samjhe
tū bhalā.ī pe rakh nazar 'zamzam'
laakh tujh ko koī burā samjhe
ghair kya jaane tujh ko kya samjhe
hum to apna tujhe KHuda samjhe
wo muafiq ho ya muKHalif ho
daman-e-dost ki hawa samjhe
kis ke wo dar pe jae kyon jae
jo tujhe apna aasra samjhe
tere mahbub ke maraatib ko
ambiya samjhe auliya samjhe
har sitam ko tere karam jaana
har jafa ko teri ada samjhe
koi kis tarah is zamane mein
kis ko achchha kise bura samjhe
tu bhalai pe rakh nazar 'zamzam'
lakh tujh ko koi bura samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.