ghair lagta raha saga bhi kuchh
ġhair lagtā rahā sagā bhī kuchh
koī apnā magar huā bhī kuchh
ai mire dil maiñ umr bhar terī
sirf suntā rahā kahā bhī kuchh
inkisārī adab mohabbat bhī
mujh meñ sab hai to hai anā bhī kuchh
apnī taqdīr ke likhe ko sab
bas miTāte rahe miTā bhī kuchh
kuchh gunahgār to maiñ huuñ lekin
hai muḳhālif mire havā bhī kuchh
ek zarra bhī ai mire mālik
hai zamīñ par tire binā bhī kuchh
ghair lagta raha saga bhi kuchh
koi apna magar hua bhi kuchh
ai mere dil main umr bhar teri
sirf sunta raha kaha bhi kuchh
inkisari adab mohabbat bhi
mujh mein sab hai to hai ana bhi kuchh
apni taqdir ke likhe ko sab
bas miTate rahe miTa bhi kuchh
kuchh gunahgar to main hun lekin
hai muKHalif mere hawa bhi kuchh
ek zarra bhi ai mere malik
hai zamin par tere bina bhi kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.