ghair mumkin hai ki tauhin-e-wafa ho jaun
ġhair mumkin hai ki tauhīn-e-vafā ho jā.ūñ
maiñ to mar jā.ūñ agar us se judā ho jā.ūñ
maiñ tire ishq meñ barbād huuñ majrūh bhī huuñ
aur kyā tū hī batā is ke sivā ho jā.ūñ
merī hasrat hai ki āġhosh meñ le luuñ tujh ko
yā tire jism se lipTe vo ridā ho jā.ūñ
apnī barbādī kā ilzām lagā.ūñ kis par
koī apnā to rahe jis se ḳhafā ho jā.ūñ
mere bachpan kī vo ḳhvāhish bhī nahīñ badlī hai
ye mire dil kī tamannā thī baḌā ho jā.ūñ
vo mirī maut pe aa.e koī ḳhātir to karo
maiñ janāze se kyā ḳhud uTh ke khaḌā ho jā.ūñ
ghair mumkin hai ki tauhin-e-wafa ho jaun
main to mar jaun agar us se juda ho jaun
main tere ishq mein barbaad hun majruh bhi hun
aur kya tu hi bata is ke siwa ho jaun
meri hasrat hai ki aaghosh mein le lun tujh ko
ya tere jism se lipTe wo rida ho jaun
apni barbaadi ka ilzam lagaun kis par
koi apna to rahe jis se KHafa ho jaun
mere bachpan ki wo KHwahish bhi nahin badli hai
ye mere dil ki tamanna thi baDa ho jaun
wo meri maut pe aae koi KHatir to karo
main janaze se kya KHud uTh ke khaDa ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.