ghair-mumkin hai ki wo mujhse KHafa ho jaega
ġhair-mumkin hai ki vo mujh se ḳhafā ho jā.egā
aur agar aisā huā to mo'jiza ho jā.egā
us kī yādoñ kī musalsal chheḌ se kuchh ho na ho
dil ke zaḳhmoñ kā magar mausam harā ho jā.egā
tū mirī Thokar meñ hai yā maiñ tirī Thokar meñ huuñ
gardish-e-daurāñ kisī din faisla ho jā.egā
kar rahā hai jo mirā nuqsān apnī zaat se
hai use ye zo'm vo merā ḳhudā ho jā.egā
hai misāl-e-qatra-e-shabnam añdhere kā ġhurūr
ik zarā sī raushnī se ye fanā ho jā.egā
aao mil kar ektā kī mash'aleñ raushan kareñ
do hī din meñ nafratoñ kā ḳhātma ho jā.egā
ḳhvāb āzādī ke dekhe the sukūñ ke vāste
kyā ḳhabar thī mulk merā karbalā ho jā.egā
ghair-mumkin hai ki wo mujh se KHafa ho jaega
aur agar aisa hua to mo'jiza ho jaega
us ki yaadon ki musalsal chheD se kuchh ho na ho
dil ke zaKHmon ka magar mausam hara ho jaega
tu meri Thokar mein hai ya main teri Thokar mein hun
gardish-e-dauran kisi din faisla ho jaega
kar raha hai jo mera nuqsan apni zat se
hai use ye zo'm wo mera KHuda ho jaega
hai misal-e-qatra-e-shabnam andhere ka ghurur
ek zara si raushni se ye fana ho jaega
aao mil kar ekta ki mash'alen raushan karen
do hi din mein nafraton ka KHatma ho jaega
KHwab aazadi ke dekhe the sukun ke waste
kya KHabar thi mulk mera karbala ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.