ghair-mumkin hai milne tu aae
ġhair-mumkin hai milne tū aa.e
tujh ko laa.e to bas ḳhudā laa.e
yaad aate haiñ dhuup meñ aksar
terī zulfoñ ke vo ghane saa.e
zindagī naam ik tamāshe kā
jo na dekhā kabhī vo dikhlā.e
ik sarā.e hai aur kyā duniyā
ek aa.e to dūsrā jaa.e
vaz.a ye ishq meñ zarūrī hai
aañsū palkoñ tale na aa paa.e
ghair-mumkin hai milne tu aae
tujh ko lae to bas KHuda lae
yaad aate hain dhup mein aksar
teri zulfon ke wo ghane sae
zindagi nam ek tamashe ka
jo na dekha kabhi wo dikhlae
ek sarae hai aur kya duniya
ek aae to dusra jae
waza ye ishq mein zaruri hai
aansu palkon tale na aa pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.