ghair se rasm-o-rah kyon maine suna diya ki yun
ġhair se rasm-o-rāh kyoñ maiñ ne sunā diyā ki yuuñ
us ne pakaḌ ke haath se mujh ko uThā diyā ki yuuñ
mujh ko nikammā kah diyā maiñ ne kahā bhalā ye kyoñ
aa.ina le ke haath meñ us ne dikhā diyā ki yuuñ
murda diloñ meñ zindagī aatī hai kaise aud kar
ruḳh se naqāb-e-zulf ko us ne haTā diyā ki yuuñ
pyaar se pesh aa ke jo vaj.h-e-malāl pūchh lī
mahshar-e-shor se jahāñ sar par uThā diyā ki yuuñ
dil ko lagī hai Thes gar mujh ko batā de mājrā
qatra-e-ashk aañkh se us ne girā diyā ki yuuñ
pūchhā hamārā hāl-e-dil jis ne 'irāqī' pyaar se
apnā kalām ek baar paḌh ke sunā diyā ki yuuñ
ghair se rasm-o-rah kyon main ne suna diya ki yun
us ne pakaD ke hath se mujh ko uTha diya ki yun
mujh ko nikamma kah diya main ne kaha bhala ye kyon
aaina le ke hath mein us ne dikha diya ki yun
murda dilon mein zindagi aati hai kaise aud kar
ruKH se naqab-e-zulf ko us ne haTa diya ki yun
pyar se pesh aa ke jo wajh-e-malal puchh li
mahshar-e-shor se jahan sar par uTha diya ki yun
dil ko lagi hai Thes gar mujh ko bata de majra
qatra-e-ashk aankh se us ne gira diya ki yun
puchha hamara haal-e-dil jis ne 'iraqi' pyar se
apna kalam ek bar paDh ke suna diya ki yun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.