ghairon ka jaane us se kaisa moamla hai
ġhairoñ kā jaane us se kaisā mo.āmla hai
apnā to is galī meñ charchā bahut rahā hai
samjho na yuuñ ki ham se vo jān-e-jāñ ḳhafā hai
apnī to kuchh tabī.at bas yuuñ hī be-maza hai
haañ anjuman meñ kam hai us ko hijāb lekin
anjān sā rahā hai tanhā agar milā hai
ik umr kī rifāqat yuuñ ḳhatm ho rahī hai
ham us se bad-gumāñ vo ham se gurez-pā hai
qaidī kī tarah sonā mujrim kī tarah uThnā
ye zindagī na jaane kis jurm kī sazā hai
ghairon ka jaane us se kaisa moamla hai
apna to is gali mein charcha bahut raha hai
samjho na yun ki hum se wo jaan-e-jaan KHafa hai
apni to kuchh tabiat bas yun hi be-maza hai
han anjuman mein kam hai us ko hijab lekin
anjaan sa raha hai tanha agar mila hai
ek umr ki rifaqat yun KHatm ho rahi hai
hum us se bad-guman wo hum se gurez-pa hai
qaidi ki tarah sona mujrim ki tarah uThna
ye zindagi na jaane kis jurm ki saza hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.