ghairon ka to kahna kya mahram se nahin kahta
ġhairoñ kā to kahnā kyā mahram se nahīñ kahtā
maiñ ālam-e-ġham apnā 'ālam se nahīñ kahtā
paḌh letī haiñ kaifiyyat kuchh taḌpī huī nazreñ
dukh apne maiñ har chashm-e-pur-nam se nahīñ kahtā
rahgīr huuñ maiñ aisā har ġham se guzartā hai
dā'vat pe jo rindān-e-ḳhurram se nahīñ kahtā
mausam hama-gardish hai pasmānda-e-gardish hai
lab-tishna koī ye shai kyuuñ jam se nahīñ kahtā
kasb-e-mut.harrik se pā-basta nasab tuġhre
ye kyā hai koī ahl-e-ḳhātam se nahīñ kahtā
aa dāġh-e-mohabbat ke sāñche meñ tujhe Dhālūñ
ḳhātam se maiñ kahtā huuñ dirham se nahīñ kahtā
kuchh baat thī kahne kī kuchh bhuul gayā ab maiñ
fitrat se nahīñ kahtā aadam se nahīñ kahtā
kahte to nahīñ bāvar nā kahiye to kāfir-tar
kahne kī qasam mujh ko maiñ dam se nahīñ kahtā
kahlāne meñ ḳhud un kā kuchh takmila nāras hai
ulTe unhīñ shikve haiñ kyuuñ ham se nahīñ kahtā
haañ merī ye uljhan to har dil meñ khaTaktī hai
kuchh muḌ ke koī zulf-e-barham se nahīñ kahtā
kyuuñ ho na junūñ kam-go jab hotā hai ye zīrak
dohrā.ī huī bāteñ mahram se nahīñ kahtā
kahne se huā gahrā kuchh aur ġham-e-pinhāñ
maiñ saa.e se kahtā huuñ hamdam se nahīñ kahtā
jis lamhe se dekhā hai ik she'r sarāpā ko
dānista koī misra' is dam se nahīñ kahtā
dete haiñ vo mahfil meñ yuuñ daad 'latīfī' ko
ash’ār ye kyā aksar mub.ham se nahīñ kahtā
ghairon ka to kahna kya mahram se nahin kahta
main aalam-e-gham apna 'alam se nahin kahta
paDh leti hain kaifiyyat kuchh taDpi hui nazren
dukh apne main har chashm-e-pur-nam se nahin kahta
rahgir hun main aisa har gham se guzarta hai
da'wat pe jo rindan-e-KHurram se nahin kahta
mausam hama-gardish hai pasmanda-e-gardish hai
lab-tishna koi ye shai kyun jam se nahin kahta
kasb-e-mutharrik se pa-basta nasab tughre
ye kya hai koi ahl-e-KHatam se nahin kahta
aa dagh-e-mohabbat ke sanche mein tujhe Dhaalun
KHatam se main kahta hun dirham se nahin kahta
kuchh baat thi kahne ki kuchh bhul gaya ab main
fitrat se nahin kahta aadam se nahin kahta
kahte to nahin bawar na kahiye to kafir-tar
kahne ki qasam mujh ko main dam se nahin kahta
kahlane mein KHud un ka kuchh takmila naras hai
ulTe unhin shikwe hain kyun hum se nahin kahta
han meri ye uljhan to har dil mein khaTakti hai
kuchh muD ke koi zulf-e-barham se nahin kahta
kyun ho na junun kam-go jab hota hai ye zirak
dohrai hui baaten mahram se nahin kahta
kahne se hua gahra kuchh aur gham-e-pinhan
main sae se kahta hun hamdam se nahin kahta
jis lamhe se dekha hai ek she'r sarapa ko
danista koi misra' is dam se nahin kahta
dete hain wo mahfil mein yun dad 'latifi' ko
ash’ar ye kya aksar mubham se nahin kahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.