ghairon ke zulm apnon ke gham dekhte nahin
ġhairoñ ke zulm apnoñ ke ġham dekhte nahīñ
raahī vafā kī raah ke ḳham dekhte nahīñ
ḳhud baḌh ke chūmtī haiñ qadam un ke manzileñ
muḌ kar jo apne naqsh-e-qadam dekhte nahīñ
vāqif nahīñ jo fitrat-e-pīr-e-muġhāñ se rind
sāġhar meñ hai sharāb ki sam dekhte nahīñ
sālār-e-kārvāñ pe jo karte haiñ e'tirāz
bahke hue ḳhud apne qadam dekhte nahīñ
jin kī nazar hai sub.h ke rū-e-jamīl par
zulf-e-darāz-e-shām-e-alam dekhte nahīñ
ehsās-e-jurm chehre kī rangat badal na de
ā.īna vaqt-e-pursish-e-ġham dekhte nahīñ
'ishrat' bashar kī shakl meñ ḳhūñḳhār bheḌiye
sadiyoñ se le rahe haiñ janam dekhte nahīñ
ghairon ke zulm apnon ke gham dekhte nahin
rahi wafa ki rah ke KHam dekhte nahin
KHud baDh ke chumti hain qadam un ke manzilen
muD kar jo apne naqsh-e-qadam dekhte nahin
waqif nahin jo fitrat-e-pir-e-mughan se rind
saghar mein hai sharab ki sam dekhte nahin
salar-e-karwan pe jo karte hain e'tiraaz
bahke hue KHud apne qadam dekhte nahin
jin ki nazar hai subh ke ru-e-jamil par
zulf-e-daraaz-e-sham-e-alam dekhte nahin
ehsas-e-jurm chehre ki rangat badal na de
aaina waqt-e-pursish-e-gham dekhte nahin
'ishrat' bashar ki shakl mein KHunKHar bheDiye
sadiyon se le rahe hain janam dekhte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.