ghairon ne kiye hain jo karam yaad karenge
ghairon ne kiye hain jo karam yaad karenge
Faisal Qadri Gunnauri
MORE BYFaisal Qadri Gunnauri
ġhairoñ ne kiye haiñ jo karam yaad kareñge
rah rah ke phir apnoñ ke sitam yaad kareñge
jo 'ishq meñ khaa.ī thī qasam yaad kareñge
tum bhuul bhī jāoge to ham yaad kareñge
har lamha satā.eñgī hameñ aap kī yādeñ
ham aap ko har lamha sanam yaad kareñge
us husn-e-dil-afroz ko nazroñ meñ basā kar
us zulf-e-girah-gīr ke ḳham yaad kareñge
dil kaañp sā jā.egā namī āñkhoñ meñ hogī
jab aap ke baḳhshe hue ġham yaad kareñge
is tarh se kah jā.eñge ham sher ġhazal ke
tā-hashr hameñ ahl-e-qalam yaad kareñge
'faisal' na bhulā pā.eñge tā-'umr unheñ ham
lekin vo bichhaḌ kar hameñ kam yaad kareñge
ghairon ne kiye hain jo karam yaad karenge
rah rah ke phir apnon ke sitam yaad karenge
jo 'ishq mein khai thi qasam yaad karenge
tum bhul bhi jaoge to hum yaad karenge
har lamha sataengi hamein aap ki yaaden
hum aap ko har lamha sanam yaad karenge
us husn-e-dil-afroz ko nazron mein basa kar
us zulf-e-girah-gir ke KHam yaad karenge
dil kanp sa jaega nami aankhon mein hogi
jab aap ke baKHshe hue gham yaad karenge
is tarh se kah jaenge hum sher ghazal ke
ta-hashr hamein ahl-e-qalam yaad karenge
'faisal' na bhula paenge ta-'umr unhen hum
lekin wo bichhaD kar hamein kam yaad karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.