ghairon se jab bhi maine koi mashwara liya
ġhairoñ se jab bhī maiñ ne koī mashvara liyā
ḳhud apne aap apnā tamāsha banā liyā
ik baar muskurā ke tirā naam kyā liyā
phir āsmāñ raqīboñ ne sar par uThā liyā
tasvīr to na us kī jalā.ī ga.ī magar
maiñ ne zarūr hāthoñ ko apne jalā liyā
dāman meñ tere kam na hoñ ḳhushiyāñ isī liye
maiñ ne ġhamoñ ko apne gale se lagā liyā
mahfil meñ daur jām-o-subū kā chalā to phir
maiñ ne bhī ek jaam tire naam kā liyā
anjām kā ḳhayāl bhī aaya nahīñ tujhe
ujlat meñ tū ne itnā baḌā faisla liyā
duniyā ko raas aatī kahāñ hai mirī ḳhushī
terī galī meñ aa ke 'taqī' muskurā liyā
ghairon se jab bhi main ne koi mashwara liya
KHud apne aap apna tamasha bana liya
ek bar muskura ke tera nam kya liya
phir aasman raqibon ne sar par uTha liya
taswir to na us ki jalai gai magar
main ne zarur hathon ko apne jala liya
daman mein tere kam na hon KHushiyan isi liye
main ne ghamon ko apne gale se laga liya
mahfil mein daur jam-o-subu ka chala to phir
main ne bhi ek jam tere nam ka liya
anjam ka KHayal bhi aaya nahin tujhe
ujlat mein tu ne itna baDa faisla liya
duniya ko ras aati kahan hai meri KHushi
teri gali mein aa ke 'taqi' muskura liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.