Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghairon se mil chale tum mast-e-sharab ho kar

Meer Taqi Meer

ghairon se mil chale tum mast-e-sharab ho kar

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ġhairoñ se mil chale tum mast-e-sharāb ho kar

    ġhairat se rah ga.e ham yaksū kabāb ho kar

    us rū-e-ātishīñ se burqā sarak gayā thā

    gul bah gayā chaman meñ ḳhajlat se aab ho kar

    kal raat muñd ga.ī thiiñ bahutoñ āñkheñ ġhash se

    dekhā kiyā na kar to sarmast ḳhvāb ho kar

    parda rahegā kyūñkar ḳhurshīd-e-ḳhāvarī

    nikle hai vo bhī ab be-naqāb ho kar

    yak qatra aab maiñ ne is daur meñ piyā hai

    niklā hai chashm-e-tar se vo ḳhūn-e-nāb ho kar

    aa baiThtā thā suufī har sub.h mai-kade meñ

    shukr-e-ḳhudā ki niklā vaañ se ḳharāb ho kar

    sharm-o-hayā kahāñ tak haiñ 'mīr' koī din ke

    ab to milā karo tum Tuk be-hijāb ho kar

    ghairon se mil chale tum mast-e-sharab ho kar

    ghairat se rah gae hum yaksu kabab ho kar

    us ru-e-atishin se burqa sarak gaya tha

    gul bah gaya chaman mein KHajlat se aab ho kar

    kal raat mund gai thin bahuton ki aankhen ghash se

    dekha kiya na kar to sarmast KHwab ho kar

    parda rahega kyunkar KHurshid-e-KHawari ka

    nikle hai wo bhi ab be-naqab ho kar

    yak qatra aab main ne is daur mein piya hai

    nikla hai chashm-e-tar se wo KHun-e-nab ho kar

    aa baiThta tha sufi har subh mai-kade mein

    shukr-e-KHuda ki nikla wan se KHarab ho kar

    sharm-o-haya kahan tak hain 'mir' koi din ke

    ab to mila karo tum Tuk be-hijab ho kar

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0219
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now