gala baiTha hai kaTne ki hawas mein hichkiyan bhar kar
gala baiTha hai kaTne ki hawas mein hichkiyan bhar kar
Mohammad Raees Alvi
MORE BYMohammad Raees Alvi
galā baiThā hai kaTne kī havas meñ hichkiyāñ bhar kar
chalā hai koī tarkash meñ qafas kī tīliyāñ bhar kar
khaḌe ho bārishoñ kī aas meñ kyā kisht-e-dil vaalo
koī baiThā huā hai bādaloñ meñ bijliyāñ bhar kar
yahāñ to harf kā hoñToñ pe aate dam nikaltā hai
dil-e-dīvāna dāman meñ chalā hai arziyāñ bhar kar
tabassum zer-e-lab bhī ishq ko mauj-e-tasallī hai
samundar so gayā dāman meñ ḳhālī sīpiyāñ bhar kar
kisī ne jab dil-e-barbād kā ahvāl pūchhā hai
bagūle rahguzar kī ḳhaak laa.e muTThiyāñ bhar kar
hamāre shauq kā hāsil hai ye ab koī kyā Thahre
khaḌe haiñ jeb meñ dāman kī apne dhajjiyāñ bhar kar
gala baiTha hai kaTne ki hawas mein hichkiyan bhar kar
chala hai koi tarkash mein qafas ki tiliyan bhar kar
khaDe ho barishon ki aas mein kya kisht-e-dil walo
koi baiTha hua hai baadalon mein bijliyan bhar kar
yahan to harf ka honTon pe aate dam nikalta hai
dil-e-diwana daman mein chala hai arziyan bhar kar
tabassum zer-e-lab bhi ishq ko mauj-e-tasalli hai
samundar so gaya daman mein KHali sipiyan bhar kar
kisi ne jab dil-e-barbaad ka ahwal puchha hai
bagule rahguzar ki KHak lae muTThiyan bhar kar
hamare shauq ka hasil hai ye ab koi kya Thahre
khaDe hain jeb mein daman ki apne dhajjiyan bhar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.