ghalat-fahmi hai hum ko hum ujale kar rahe hain
ġhalat-fahmī hai ham ko ham ujāle kar rahe haiñ
suḳhan ke naam par bas safhe kaale kar rahe haiñ
safar kī mushkileñ kuchh to dikhānā bhī hai lāzim
so rasman paañv meñ ham ḳhud hī chhāle kar rahe haiñ
hameñ hai bhuuk jiine kī nahīñ hai paas roTī
so ham ab apnī sāñsoñ ko nivāle kar rahe haiñ
nahīñ hoñge nasīb āñkhoñ ko ab koī nazāre
so ham āñkhoñ ko ḳhvāboñ ke havāle kar rahe haiñ
mere mash.hūr hone meñ nahīñ kuchh haath merā
ki merā naam raushan jalne vaale kar rahe haiñ
'anīs' ab in kī bātoñ par bhalā kyā kaan denā
siyāsat-dān haiñ masjid shivāle kar rahe haiñ
ghalat-fahmi hai hum ko hum ujale kar rahe hain
suKHan ke nam par bas safhe kale kar rahe hain
safar ki mushkilen kuchh to dikhana bhi hai lazim
so rasman panw mein hum KHud hi chhaale kar rahe hain
hamein hai bhuk jine ki nahin hai pas roTi
so hum ab apni sanson ko niwale kar rahe hain
nahin honge nasib aankhon ko ab koi nazare
so hum aankhon ko KHwabon ke hawale kar rahe hain
mere mashhur hone mein nahin kuchh hath mera
ki mera nam raushan jalne wale kar rahe hain
'anis' ab in ki baaton par bhala kya kan dena
siyasat-dan hain masjid shiwale kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.