ghalat-fahmi kisi ki dur karta rah gaya hun
ġhalat-fahmī kisī kī duur kartā rah gayā huuñ
koī paiġhām huuñ maiñ aur likkhā rah gayā huuñ
bahut taklīf detā hai tirā ḳhāmosh rahnā
musalsal bolne se maiñ akelā rah gayā huuñ
koī dekhe binā guzrā hai mere sāmne se
kisī kā haath huuñ maiñ aur phailā rah gayā huuñ
bahut aage nikalne kī sazā hone se pahle
bahut pīchhe maiñ dānista dobāra rah gayā huuñ
uThā kar apnā sāmāñ mehmāñ jaane lagā hai
bahut hī zor se āvāz detā rah gayā huuñ
mujhe bāhar bulāyā sard mausam meñ kisī ne
maiñ apnī shā.irī ke saath baiThā rah gayā huuñ
tirī marzī hai jaisā bhī sulūk ab mujh se kar le
nishāñ ik paas tere maiñ kisī kā rah gayā huuñ
tire aane se maiñ ta.amīr hone lag gayā thā
tire jaate hī 'shāhid' sirf malba rah gayā huuñ
ghalat-fahmi kisi ki dur karta rah gaya hun
koi paigham hun main aur likkha rah gaya hun
bahut taklif deta hai tera KHamosh rahna
musalsal bolne se main akela rah gaya hun
koi dekhe bina guzra hai mere samne se
kisi ka hath hun main aur phaila rah gaya hun
bahut aage nikalne ki saza hone se pahle
bahut pichhe main danista dobara rah gaya hun
uTha kar apna saman mehman jaane laga hai
bahut hi zor se aawaz deta rah gaya hun
mujhe bahar bulaya sard mausam mein kisi ne
main apni shairi ke sath baiTha rah gaya hun
teri marzi hai jaisa bhi suluk ab mujh se kar le
nishan ek pas tere main kisi ka rah gaya hun
tere aane se main tamir hone lag gaya tha
tere jate hi 'shahid' sirf malba rah gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.