ghalat hai sab to ye ruswai kaisi
ġhalat hai sab to ye rusvā.ī kaisī
jo parbat ban ga.ī vo raa.ī kaisī
kabhī ḳhālī samundar kar ke dekheñ
nazar aatī hai ki gahrā.ī kaisī
lagā hai chāñd ko ye daaġh kaisā
chhupī hai daaġh meñ ye khaa.ī kaisī
mirī ye baat sun leñ dūrbīneñ
nahīñ hoñ aañkh to bīnā.ī kaisī
usī kī zaat ke haiñ sab karishme
buzurgoñ phir ye hāthā-pā.ī kaisī
agar baiThā nahīñ ho saañp us par
koī daulat nahīñ hai bhaa.ī kaisī
mirā to naam hī ġhā.eb hai ab ke
ye us ne dāstāñ dohrā.ī kaisī
ghalat hai sab to ye ruswai kaisi
jo parbat ban gai wo rai kaisi
kabhi KHali samundar kar ke dekhen
nazar aati hai ki gahrai kaisi
laga hai chand ko ye dagh kaisa
chhupi hai dagh mein ye khai kaisi
meri ye baat sun len durbinen
nahin hon aankh to binai kaisi
usi ki zat ke hain sab karishme
buzurgon phir ye hatha-pai kaisi
agar baiTha nahin ho sanp us par
koi daulat nahin hai bhai kaisi
mera to nam hi ghaeb hai ab ke
ye us ne dastan dohrai kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.