ghalat karta hun to kahte hain achchha kar rahe hain
ġhalat kartā huuñ to kahte haiñ achchhā kar rahe haiñ
ye kahne ke bajā.e aap ye kyā kar rahe haiñ
vagarna 'ishq itnā be-asar hotā nahīñ hai
yuuñ lagtā hai hameñ ye kaam bejā kar rahe haiñ
mohabbat se mukarne vāloñ se pūchhe to koī
ki kis ke kahne par ye log aisā kar rahe haiñ
kisī kī ab yahāñ par koī bhī suntā nahīñ hai
ġhanīmat hai ki ham ab bhī bharosa kar rahe haiñ
bahut hañste the jab thā iḳhtiyār us par hamārā
aur ab bas meñ nahīñ hai vo to girya kar rahe haiñ
bahut se aur bhī haiñ 'ishq ke maare yahāñ par
nahīñ aisā ki ham ye kaam tanhā kar rahe haiñ
mohabbat 'ishq vaqtī uns chāhat aur lagāo
na jaane kyā hai jo ham us kī parvā kar rahe haiñ
hameñ mā'lūm hai mumkin nahīñ pā lenā us ko
ye kyā ki phir bhī ham us kī tamanna kar rahe haiñ
'doraib' āsān kab hai zindagī itnī vagarna
koī to baat hai jo ham guzārā kar rahe haiñ
ghalat karta hun to kahte hain achchha kar rahe hain
ye kahne ke bajae aap ye kya kar rahe hain
wagarna 'ishq itna be-asar hota nahin hai
yun lagta hai hamein ye kaam beja kar rahe hain
mohabbat se mukarne walon se puchhe to koi
ki kis ke kahne par ye log aisa kar rahe hain
kisi ki ab yahan par koi bhi sunta nahin hai
ghanimat hai ki hum ab bhi bharosa kar rahe hain
bahut hanste the jab tha iKHtiyar us par hamara
aur ab bas mein nahin hai wo to girya kar rahe hain
bahut se aur bhi hain 'ishq ke mare yahan par
nahin aisa ki hum ye kaam tanha kar rahe hain
mohabbat 'ishq waqti uns chahat aur lagao
na jaane kya hai jo hum us ki parwa kar rahe hain
hamein ma'lum hai mumkin nahin pa lena us ko
ye kya ki phir bhi hum us ki tamanna kar rahe hain
'doraib' aasan kab hai zindagi itni wagarna
koi to baat hai jo hum guzara kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.