ghalat ki mere sar-e-dar hausle TuTe
ġhalat ki mere sar-e-dār hausle TuuTe
salīb-e-jism se sāñsoñ ke rābte TuuTe
ye kaise ruḳh pe banā.e makān logoñ ne
havā chalī hai to ghar ghar ke aa.ine TuuTe
na jaane kis kī nazar raushnī kī dushman thī
charāġh jis meñ jale the vo tāqche TuuTe
qabīle apnī hī bastī ke jang-jū nikle
ḳhulūs-o-sidq-o-mohabbat ke zābte TuuTe
zamīn Duub ga.ī nafratoñ kī bārish meñ
vo manzileñ haiñ ki milne ke rāste TuuTe
zamāna paḌhtā hai chehre kā ab likhā 'tasnīm'
hamārī zaat pe ye kaise hādse TuuTe
ghalat ki mere sar-e-dar hausle TuTe
salib-e-jism se sanson ke rabte TuTe
ye kaise ruKH pe banae makan logon ne
hawa chali hai to ghar ghar ke aaine TuTe
na jaane kis ki nazar raushni ki dushman thi
charagh jis mein jale the wo taqche TuTe
qabile apni hi basti ke jang-ju nikle
KHulus-o-sidq-o-mohabbat ke zabte TuTe
zamin Dub gai nafraton ki barish mein
wo manzilen hain ki milne ke raste TuTe
zamana paDhta hai chehre ka ab likha 'tasnim'
hamari zat pe ye kaise hadse TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.