ghalat ki sai-e-junun-KHez raegan na gai
ġhalat ki sa.i-e-junūñ-ḳhez rā.egāñ na ga.ī
bahār aa.ī chaman meñ magar ḳhizāñ na ga.ī
dil-o-nazar kā yahī fāsla hayāt bhī hai
pahuñch gayā hai jahāñ dil nazar vahāñ na ga.ī
chaTak ke ġhuncha to ḳhāmosh ho gayā lekin
shikast-e-dil kī sadā thī kahāñ kahāñ na ga.ī
the raftagāñ meñ sabhī raunaq-e-jahāñ kā sabab
kisī ke saath magar raunaq-e-jahāñ na ga.ī
koī batā.e ki 'nashtar' sadā-e-raqs-e-junūñ
sabā ke kaan meñ pahuñchī to phir kahāñ na ga.ī
ghalat ki sai-e-junun-KHez raegan na gai
bahaar aai chaman mein magar KHizan na gai
dil-o-nazar ka yahi fasla hayat bhi hai
pahunch gaya hai jahan dil nazar wahan na gai
chaTak ke ghuncha to KHamosh ho gaya lekin
shikast-e-dil ki sada thi kahan kahan na gai
the raftagan mein sabhi raunaq-e-jahan ka sabab
kisi ke sath magar raunaq-e-jahan na gai
koi batae ki 'nashtar' sada-e-raqs-e-junun
saba ke kan mein pahunchi to phir kahan na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.