ghalatiyan apni na hon phir bhi manane ka hunar
ġhalatiyāñ apnī na hoñ phir bhī manāne kā hunar
itnā āsān nahīñ ḳhud ko miTāne kā hunar
yādoñ ke sāñpoñ ko qaabū meñ karūñ kaise maiñ
maiñ ne sīkhā hī nahīñ biin bajāne kā hunar
mere chehre kī hañsī meñ patā ḳhushiyoñ kā na DhūñDh
muddatoñ baa'd milā dard chhupāne kā hunar
mere apnoñ ne tarāshī merī 'izzat kī qamīs
sab ko aatā hai yahāñ qaiñchī chalāne kā hunar
aag chingārī dhuāñ kuchh na thā dil phir bhī jalā
kis ne sikhlāyā tumheñ aise jalāne kā hunar
itne sapne na dikhā jhūTī adākārī chhoḌ
pattharoñ ko na sikhā ghaas ugāne kā hunar
āñkheñ chehra zabāñ sab be-zabāñ ho jaate haiñ
jaan le legā tirī raaz chhupāne kā hunar
qatl karnā hai agar jalte hue sūraj ko
siikh lo barf kī shamshīr banāne kā hunar
ghalatiyan apni na hon phir bhi manane ka hunar
itna aasan nahin KHud ko miTane ka hunar
yaadon ke sanpon ko qabu mein karun kaise main
main ne sikha hi nahin bin bajaane ka hunar
mere chehre ki hansi mein pata KHushiyon ka na DhunDh
muddaton ba'd mila dard chhupane ka hunar
mere apnon ne tarashi meri 'izzat ki qamis
sab ko aata hai yahan qainchi chalane ka hunar
aag chingari dhuan kuchh na tha dil phir bhi jala
kis ne sikhlaya tumhein aise jalane ka hunar
itne sapne na dikha jhuTi adakari chhoD
pattharon ko na sikha ghas ugane ka hunar
aankhen chehra zaban sab be-zaban ho jate hain
jaan le lega teri raaz chhupane ka hunar
qatl karna hai agar jalte hue suraj ko
sikh lo barf ki shamshir banane ka hunar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.