gale hum kya milen us aadmi se
gale ham kyā mileñ us aadmī se
jo rakhtā hī nahīñ ulfat kisī se
shikāyat aap ko ham se bajā hai
magar majbūr haiñ ham dil-lagī se
hameñ bhī ghar kī zimmedāriyāñ haiñ
unheñ fursat bhī kab hai naukrī se
usī dam ho ga.ī hairān duniyā
khule jab raaz us kī Diary se
uThīñ haiñ uñgliyāñ chāroñ taraf se
maiñ guzrā jab kabhī terī galī se
zamāna le rahā hai aaj ibārat
tumhārī aur hamārī dostī se
kahāñ tak yaad rakkheñge vo 'ārif'
koī va.ada kiyā thā kal kisī se
gale hum kya milen us aadmi se
jo rakhta hi nahin ulfat kisi se
shikayat aap ko hum se baja hai
magar majbur hain hum dil-lagi se
hamein bhi ghar ki zimmedariyan hain
unhen fursat bhi kab hai naukri se
usi dam ho gai hairan duniya
khule jab raaz us ki Diary se
uThin hain ungliyan chaaron taraf se
main guzra jab kabhi teri gali se
zamana le raha hai aaj ibarat
tumhaari aur hamari dosti se
kahan tak yaad rakkhenge wo 'arif'
koi wada kiya tha kal kisi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.