gale milen to bana rahta hai guman diwar
gale mileñ to banā rahtā hai gumāñ dīvār
ye aur baat ki hotī nahīñ ayaañ dīvār
tavāf karte ho apnā tumheñ nahīñ mālūm
miyān-e-marhala-e-āgahī hai jaañ dīvār
ravāñ-davāñ jo uThe ham kashāñ-kashāñ lauTe
zamīñ thī ek rukāvaT to āsmāñ dīvār
hai soch saaya ḳhayāl-o-nazar pe chhāyā huā
haiñ reza-reza fasīleñ dhuāñ-dhuāñ dīvār
baḌhūñ to kaise baḌhūñ kis ke dar pe dastak duuñ
qadam qadam pe ahāte jahāñ tahāñ dīvār
chhupā.e rakhte haiñ be-chehragī kisī sūrat
uThā.e phirte haiñ zehnoñ ke darmiyāñ dīvār
gale milen to bana rahta hai guman diwar
ye aur baat ki hoti nahin ayan diwar
tawaf karte ho apna tumhein nahin malum
miyan-e-marhala-e-agahi hai jaan diwar
rawan-dawan jo uThe hum kashan-kashan lauTe
zamin thi ek rukawaT to aasman diwar
hai soch saya KHayal-o-nazar pe chhaya hua
hain reza-reza fasilen dhuan-dhuan diwar
baDhun to kaise baDhun kis ke dar pe dastak dun
qadam qadam pe ahate jahan tahan diwar
chhupae rakhte hain be-chehragi kisi surat
uThae phirte hain zehnon ke darmiyan diwar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.