gale milte hain aao dil lagate hain
gale milte haiñ aao dil lagāte haiñ
nazar meñ duniyā kī pāgal ho jaate haiñ
chalo nādāniyoñ ke biij bo kar ham
diloñ meñ phir vahī bachpan ugāte haiñ
kahāñ mahfūz hai dil un ke siine meñ
vo hī to dhaḌkaneñ dil kī baḌhāte haiñ
ka.ī baar ab talak ye daañv hai khelā
ki dil bahlāne ko dil hī lagāte haiñ
bhale ham jiit bhī jaa.eñ zamāne se
magar apnoñ se aksar haar jaate haiñ
kareñ ham raushnī kab tak charāġhoñ se
yuuñ karte haiñ ki ab ghar hī jalāte haiñ
gale milte hain aao dil lagate hain
nazar mein duniya ki pagal ho jate hain
chalo nadaniyon ke bij bo kar hum
dilon mein phir wahi bachpan ugate hain
kahan mahfuz hai dil un ke sine mein
wo hi to dhaDkanen dil ki baDhate hain
kai bar ab talak ye danw hai khela
ki dil bahlane ko dil hi lagate hain
bhale hum jit bhi jaen zamane se
magar apnon se aksar haar jate hain
karen hum raushni kab tak charaghon se
yun karte hain ki ab ghar hi jalate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.