gale pe rakh ke wo talwar bole
gale pe rakh ke vo talvār bole
vahī kahnā jo ye sarkār bole
hameñ barbād kar degā tirā sach
mirī bastī ke ‘izzat-dār bole
hamārā ḳhāndānī vasf hai ye
hamesha jānib-e-haqdār bole
qusūr in shā'iroñ kā bhī nahīñ hai
vahī deñge jo ye bāzār bole
ka.ī nāmoñ se ham ko jānte haiñ
koī tūfāñ koī mañjdhār bole
ik aise ham-safar kī aarzū hai
jo vīrānoñ ko bhī gulzār bole
'samar' tum dushmanoñ par TuuT paḌnā
sipah-sālār jab yalġhār bole
gale pe rakh ke wo talwar bole
wahi kahna jo ye sarkar bole
hamein barbaad kar dega tera sach
meri basti ke ‘izzat-dar bole
hamara KHandani wasf hai ye
hamesha jaanib-e-haqdar bole
qusur in sha'iron ka bhi nahin hai
wahi denge jo ye bazar bole
kai namon se hum ko jaante hain
koi tufan koi manjdhaar bole
ek aise ham-safar ki aarzu hai
jo viranon ko bhi gulzar bole
'samar' tum dushmanon par TuT paDna
sipah-salar jab yalghaar bole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.