gale se shab ko lagaya sahar ke dhoke mein
gale se shab ko lagāyā sahar ke dhoke meñ
ham aa ga.e haiñ ḳhud apnī nazar ke dhoke meñ
idhar hai aag kā dariyā udhar lahū kī nadī
kahāñ pahuñch ga.e ham rāhbar ke dhoke meñ
kabhī chale the jahāñ se usī maqām pe haiñ
the dā.eroñ meñ ravāñ ham safar ke dhoke meñ
fareb-e-husn-e-nazar hai ki sādgī dil kī
hamesha sang chune haiñ guhar ke dhoke meñ
abhī to zulmat-e-shab kā tilism baaqī hai
abhī na sham.a bujhāo sahar ke dhoke meñ
fazā.eñ ajnabī begāna sūrateñ 'akram'
kahāñ ye aa ga.e ham apne ghar ke dhoke meñ
gale se shab ko lagaya sahar ke dhoke mein
hum aa gae hain KHud apni nazar ke dhoke mein
idhar hai aag ka dariya udhar lahu ki nadi
kahan pahunch gae hum rahbar ke dhoke mein
kabhi chale the jahan se usi maqam pe hain
the daeron mein rawan hum safar ke dhoke mein
fareb-e-husn-e-nazar hai ki sadgi dil ki
hamesha sang chune hain guhar ke dhoke mein
abhi to zulmat-e-shab ka tilism baqi hai
abhi na shama bujhao sahar ke dhoke mein
fazaen ajnabi begana suraten 'akram'
kahan ye aa gae hum apne ghar ke dhoke mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.