gali gali mein utar chuke hain kitab-ankhon ke zinda nauhe
galī galī meñ utar chuke haiñ kitāb-āñkhoñ ke zinda nauhe
hasīn chehroñ kā surḳh mātam sharāb-āñkhoñ ke zinda nauhe
zamīñ ke siine meñ zinda haiñ jo agar samā.at hai sun sako to
mirī nigāhoñ se aaj sun lo hijāb-āñkhoñ ke zinda nauhe
ki merī ġhazloñ meñ merī nazmoñ meñ karb aa kar simaT gayā hai
mire qalam se nikal rahe haiñ janāb āñkhoñ ke zinda nauhe
ye kis ke dil meñ utar rahā hai azaab āñkhoñ kā ashk ban kar
ye kis ke chehre se kar rahe haiñ ḳhitāb āñkhoñ ke zinda nauhe
maiñ 'tāhir' un ke laboñ kī muskān chaah kar bhī na likh sakūñgā
ki saath mere rahe haiñ jin kī gulāb-āñkhoñ ke zinda nauhe
gali gali mein utar chuke hain kitab-ankhon ke zinda nauhe
hasin chehron ka surKH matam sharab-ankhon ke zinda nauhe
zamin ke sine mein zinda hain jo agar samaat hai sun sako to
meri nigahon se aaj sun lo hijab-ankhon ke zinda nauhe
ki meri ghazlon mein meri nazmon mein karb aa kar simaT gaya hai
mere qalam se nikal rahe hain janab aankhon ke zinda nauhe
ye kis ke dil mein utar raha hai azab aankhon ka ashk ban kar
ye kis ke chehre se kar rahe hain KHitab aankhon ke zinda nauhe
main 'tahir' un ke labon ki muskan chah kar bhi na likh sakunga
ki sath mere rahe hain jin ki gulab-ankhon ke zinda nauhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.