gali gali teri shohrat nahin karunga main
galī galī tirī shohrat nahīñ karūñgā maiñ
ab aisī hijr meñ hālat nahīñ karūñgā maiñ
hamesha kaam bigāḌā hai be-qarārī ne
vo ab milegā to ujlat nahīñ karūñgā maiñ
tū paas baiTh mire mujh se baat kar koī
qasam ḳhudā kī sharārat nahīñ karūñgā maiñ
dukhā diyā jo mohabbat ne aaj merā dil
to kyā dobāra mohabbat nahīñ karūñgā maiñ
havā-e-shām kī marzī hai jis tarah bhī chale
ab us se koī shikāyat nahīñ karūñgā maiñ
gali gali teri shohrat nahin karunga main
ab aisi hijr mein haalat nahin karunga main
hamesha kaam bigaDa hai be-qarari ne
wo ab milega to ujlat nahin karunga main
tu pas baiTh mere mujh se baat kar koi
qasam KHuda ki shararat nahin karunga main
dukha diya jo mohabbat ne aaj mera dil
to kya dobara mohabbat nahin karunga main
hawa-e-sham ki marzi hai jis tarah bhi chale
ab us se koi shikayat nahin karunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.