gali se guzrun to us par bhi dhyan paDta hai
galī se guzrūñ to us par bhī dhyān paḌtā hai
vo jis kā ghar mire raste meñ aan paḌtā hai
ab us se aage koī shaḳhs bhī nahīñ rahtā
ab us se aage to ḳhālī makān paḌtā hai
maiñ roz shab kā akele 'azāb sahtā huuñ
badan pe roz hī taaza nishān paḌtā hai
hamārī raah meñ dīvār ab nahīñ paḌtī
hamārī raah meñ ab āsmān paḌtā hai
us aa.ine meñ tirā 'aks mustaqil hai 'hayāt'
vo aa.ina jo mire darmiyān paḌtā hai
gali se guzrun to us par bhi dhyan paDta hai
wo jis ka ghar mere raste mein aan paDta hai
ab us se aage koi shaKHs bhi nahin rahta
ab us se aage to KHali makan paDta hai
main roz shab ka akele 'azab sahta hun
badan pe roz hi taza nishan paDta hai
hamari rah mein diwar ab nahin paDti
hamari rah mein ab aasman paDta hai
us aaine mein tera 'aks mustaqil hai 'hayat'
wo aaina jo mere darmiyan paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.