galiyon mein lahu-rezi ka kuchh hal nikal aae
galiyoñ meñ lahū-rezī kā kuchh hal nikal aa.e
log is liye ḳhud jānib-e-maqtal nikal aa.e
maiñ kāsa-ba-dastoñ ke qabīle kā huuñ lekin
ḳhush-qismatī se haath mire shal nikal aa.e
rone se mujhe ḳhalq-e-ḳhudā rok rahī thī
phir merī taraf-dārī meñ bādal nikal aa.e
ik sat.h-e-mohabbat pe khaḌā soch rahā huuñ
aisā na ho ye jhiil bhī daldal nikal aa.e
afsos ki ab bhī haiñ tire daam meñ kuchh kuchh
ham samjhe the is baar mukammal nikal aa.e
ābād rahe shahr-e-ḳhamoshāñ kise ma.alūm
mujh aisā musāfir yahāñ kis pal nikal aa.e
galiyon mein lahu-rezi ka kuchh hal nikal aae
log is liye KHud jaanib-e-maqtal nikal aae
main kasa-ba-daston ke qabile ka hun lekin
KHush-qismati se hath mere shal nikal aae
rone se mujhe KHalq-e-KHuda rok rahi thi
phir meri taraf-dari mein baadal nikal aae
ek sath-e-mohabbat pe khaDa soch raha hun
aisa na ho ye jhil bhi daldal nikal aae
afsos ki ab bhi hain tere dam mein kuchh kuchh
hum samjhe the is bar mukammal nikal aae
aabaad rahe shahr-e-KHamoshan kise malum
mujh aisa musafir yahan kis pal nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.