gham ba-har-taur numayan ho zaruri to nahin
gham ba-har-taur numayan ho zaruri to nahin
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
ġham ba-har-taur numāyāñ ho zarūrī to nahīñ
aadmī chāk-garebāñ ho zarūrī to nahīñ
dard sharminda-e-darmāñ ho zarūrī to nahīñ
muft meñ aap kā ehsāñ ho zarūrī to nahīñ
amal-o-qaul se hotā hai numāyāñ kirdār
aadmī jo bhī ho insāñ ho zarūrī to nahīñ
husn agar zūd-pashemāñ hai to hogā lekin
ishq bhī zūd-pashemāñ ho zarūrī to nahīñ
merī taqdīr sañvarnī hai sañvar jā.egī
aap kī zulf pareshāñ ho zarūrī to nahīñ
husn hotā hai faqat husn-e-nazar se paidā
har kalī jān-e-gulistāñ ho zarūrī to nahīñ
ġhair kī lāf-zanī par bhī rahe pās-e-adab
koī añgusht-ba-dandāñ ho zarūrī to nahīñ
ruḳh-e-zebā ko zarūrat nahīñ zevar kī 'sahar'
ham tarannum meñ ġhazal-ḳhvāñ hoñ zarūrī to nahīñ
gham ba-har-taur numayan ho zaruri to nahin
aadmi chaak-gareban ho zaruri to nahin
dard sharminda-e-darman ho zaruri to nahin
muft mein aap ka ehsan ho zaruri to nahin
amal-o-qaul se hota hai numayan kirdar
aadmi jo bhi ho insan ho zaruri to nahin
husn agar zud-pasheman hai to hoga lekin
ishq bhi zud-pasheman ho zaruri to nahin
meri taqdir sanwarni hai sanwar jaegi
aap ki zulf pareshan ho zaruri to nahin
husn hota hai faqat husn-e-nazar se paida
har kali jaan-e-gulistan ho zaruri to nahin
ghair ki laf-zani par bhi rahe pas-e-adab
koi angusht-ba-dandan ho zaruri to nahin
ruKH-e-zeba ko zarurat nahin zewar ki 'sahar'
hum tarannum mein ghazal-KHwan hon zaruri to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.