gham baKHshne walon se KHushi mang raha hun
ġham baḳhshne vāloñ se ḳhushī maañg rahā huuñ
rotī huī āñkhoñ kī hañsī maañg rahā huuñ
kuchh log faqat dil kā sukūñ maañg rahe haiñ
dildār se maiñ dil kī lagī maañg rahā huuñ
ye kaisī sadī hai ki sadā zulm hai raqsāñ
maiñ apne tasavvur kī sadī maañg rahā huuñ
kyoñ mere liye ḳhār-ba-dāmāñ hai zamāna
kyā ye bhī ḳhatā hai ki kalī maañg rahā huuñ
gham baKHshne walon se KHushi mang raha hun
roti hui aankhon ki hansi mang raha hun
kuchh log faqat dil ka sukun mang rahe hain
dildar se main dil ki lagi mang raha hun
ye kaisi sadi hai ki sada zulm hai raqsan
main apne tasawwur ki sadi mang raha hun
kyon mere liye KHar-ba-daman hai zamana
kya ye bhi KHata hai ki kali mang raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.