gham bhala kaise khule us pe hamare wala
ġham bhalā kaise khule us pe hamāre vaalā
ham to haiñ beach bhañvar ke vo kināre vaalā
ham ne pahnī hai qabā hijr-e-musalsal vaalī
us kā āñchal hai muqaddar ke sitāre vaalā
raat ik phir se guzārī hai kisī vahshat meñ
ek din phir se guzārā hai guzāre vaalā
apne raste pe hī rahtā huuñ maiñ lekin mujh ko
rāsta khīñchtā rahtā hai tumhāre vaalā
ik patañge ne charāġhoñ se kahā hai 'āriz'
pyaar to asl meñ saudā hai ḳhasāre vaalā
gham bhala kaise khule us pe hamare wala
hum to hain beach bhanwar ke wo kinare wala
hum ne pahni hai qaba hijr-e-musalsal wali
us ka aanchal hai muqaddar ke sitare wala
raat ek phir se guzari hai kisi wahshat mein
ek din phir se guzara hai guzare wala
apne raste pe hi rahta hun main lekin mujh ko
rasta khinchta rahta hai tumhaare wala
ek patange ne charaghon se kaha hai 'ariz'
pyar to asl mein sauda hai KHasare wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.