gham bhi hai kaif bhi hai soz bhi hai saz bhi hai
ġham bhī hai kaif bhī hai soz bhī hai saaz bhī hai
ishq ik zinda haqīqat bhī hai ik raaz bhī hai
tuur kā vāqi.a phir az-sar-e-nau taaza kareñ
jalva-e-husn bhī hai ishq kā e.ajāz bhī hai
husn aur ishq se ġhāfil rahe mumkin hī nahīñ
naġhma-e-dil meñ kisī ke mirī āvāz bhī hai
le uḌeñ kyuuñ na qafas sū-e-gulistāñ 'vāhid'
jazba-e-shauq bhī hai quvvat-e-parvāz bhī hai
gham bhi hai kaif bhi hai soz bhi hai saz bhi hai
ishq ek zinda haqiqat bhi hai ek raaz bhi hai
tur ka waqia phir az-sar-e-nau taza karen
jalwa-e-husn bhi hai ishq ka eajaz bhi hai
husn aur ishq se ghafil rahe mumkin hi nahin
naghma-e-dil mein kisi ke meri aawaz bhi hai
le uDen kyun na qafas su-e-gulistan 'wahid'
jazba-e-shauq bhi hai quwwat-e-parwaz bhi hai
- Book : Wahid Premi Shakhsiyyat Aur Fan (Pg. 101)
- Author : Wahid Premi
- Publication : Educational Publishing House (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.