gham bhi mera ajib hai meri KHushi ajib
gham bhi mera ajib hai meri KHushi ajib
Mirza Shariq Laharpuri
MORE BYMirza Shariq Laharpuri
ġham bhī mirā ajiib hai merī ḳhushī ajiib
baḳhshī hai rabb-e-haq ne mujhe zindagī ajiib
phūloñ kā jism jhulse hai kāñToñ pe tāzgī
is āftāb-e-asr kī hai raushnī ajiib
rahte haiñ saath saath magar be-tavajjoh se
lagtī hai mujh ko aap kī pahlū-tahī ajiib
majbūr-e-ishq huuñ maiñ nahīñ to ai mere dil
kal un se guftugū to huī vāqa.ī ajiib
vo kaun husn-e-nāz hai jis ke vasīle se
tārīkiyoñ meñ phail ga.ī chāñdnī ajiib
haiñ maslahat ke daur kī nairañgiyāñ tamām
hai chārāgar ajiib na chāragarī ajiib
dushman bhī dushmanī se gurezāñ huā hai aaj
'shāriq' tumhāre dost kī hai dostī ajiib
gham bhi mera ajib hai meri KHushi ajib
baKHshi hai rabb-e-haq ne mujhe zindagi ajib
phulon ka jism jhulse hai kanTon pe tazgi
is aaftab-e-asr ki hai raushni ajib
rahte hain sath sath magar be-tawajjoh se
lagti hai mujh ko aap ki pahlu-tahi ajib
majbur-e-ishq hun main nahin to ai mere dil
kal un se guftugu to hui waqai ajib
wo kaun husn-e-naz hai jis ke wasile se
tarikiyon mein phail gai chandni ajib
hain maslahat ke daur ki nairangiyan tamam
hai chaaragar ajib na chaaragari ajib
dushman bhi dushmani se gurezan hua hai aaj
'shaariq' tumhaare dost ki hai dosti ajib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.