gham bhi tanha hai aur KHushi tanha
ġham bhī tanhā hai aur ḳhushī tanhā
is qadar kyoñ hai zindagī tanhā
us ke chehre pe ḳhauf sā kyoñ hai
jā rahā hai jo aadmī tanhā
ham use ġham kā raaz samjhā deñ
kaash mil jaa.e vo kabhī tanhā
justujū ġham ke tapte sahrā meñ
jaane kyā soch kar hañsī tanhā
chāñd ko le uḌe ghane bādal
thak ga.ī shab khaḌī khaḌī tanhā
kis qadar ajnabī lagī hai 'rafī.a'
zindagī jab kahīñ milī tanhā
gham bhi tanha hai aur KHushi tanha
is qadar kyon hai zindagi tanha
us ke chehre pe KHauf sa kyon hai
ja raha hai jo aadmi tanha
hum use gham ka raaz samjha den
kash mil jae wo kabhi tanha
justuju gham ke tapte sahra mein
jaane kya soch kar hansi tanha
chand ko le uDe ghane baadal
thak gai shab khaDi khaDi tanha
kis qadar ajnabi lagi hai 'rafia'
zindagi jab kahin mili tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.