gham bhulane ka hamein koi bahana to mile
ġham bhulāne kā hameñ koī bahānā to mile
shab-e-furqat kā har ik lamha suhānā to mile
mandir-o-masjid-o-ma.abad ho ki mai-ḳhāna ho
sar jhukāne ke liye koī Thikāna to mile
bazm-e-ḳhāmosh kī aahaT ho ki patjhaḌ kā sukūñ
aish-o-ġham ham ko yahāñ shāna-ba-shāna to mile
ye tasallī sahī yaad aa.ī to vo bhī aa.e
mere ehsās-e-ġham-e-dil kā nishānā to mile
sirf taqdīr meñ ho sahrā-navardī jis kī
mujh sā duniyā meñ koī aisā dīvāna to mile
apne ashkoñ pe uThā le koī ishrat kā bojh
vaqt kī raah meñ ab aisā zamāna to mile
mashq-e-yārān-e-sitam sehn-e-gulistāñ meñ hai
sub.h-dam jashn-e-bahārāñ kā fasāna to mile
shāmiyāna ho sitāroñ kā mire āñgan meñ
merī qismat meñ 'shafaq' aisā gharānā to mile
gham bhulane ka hamein koi bahana to mile
shab-e-furqat ka har ek lamha suhana to mile
mandir-o-masjid-o-mabad ho ki mai-KHana ho
sar jhukane ke liye koi Thikana to mile
bazm-e-KHamosh ki aahaT ho ki patjhaD ka sukun
aish-o-gham hum ko yahan shana-ba-shana to mile
ye tasalli sahi yaad aai to wo bhi aae
mere ehsas-e-gham-e-dil ka nishana to mile
sirf taqdir mein ho sahra-nawardi jis ki
mujh sa duniya mein koi aisa diwana to mile
apne ashkon pe uTha le koi ishrat ka bojh
waqt ki rah mein ab aisa zamana to mile
mashq-e-yaran-e-sitam sehn-e-gulistan mein hai
subh-dam jashn-e-bahaaran ka fasana to mile
shamiyana ho sitaron ka mere aangan mein
meri qismat mein 'shafaq' aisa gharana to mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.