gham de ke gham-gusar hue bhi to kya hue
ġham de ke ġham-gusār hue bhī to kyā hue
taḌpā ke be-qarār hue bhī to kyā hue
karnā thā daaġh ban ke kisī dil meñ raushnī
sham.a-e-sar-e-mazār hue bhī to kyā hue
honā thā aap apne chaman meñ shagūfa-kār
sharminda-e-bahār hue bhī to kyā hue
miTte kisī ke ishq meñ ai dil to baat thī
barbād-e-rozgār hue bhī to kyā hue
dil bhī hai pāsh-pāsh safīna bhī pāsh-pāsh
tūfān-e-ġham se paar hue bhī to kyā hue
vīrāniyāñ dayār-e-mohabbat meñ haiñ vahī
tum ġhairat-e-bahār hue bhī to kyā hue
haiñ sar-nigūñ hanūz tumhāre niyāz-mand
tum ahl-e-iḳhtiyār hue bhī to kyā hue
siine meñ dil ke naam se ab ḳhaak bhī nahīñ
ab aap sharmsār hue bhī to kyā hue
hañs hañs ke jhelnā hai har uftād-e-shauq ko
ro ro ke kāmgār hue bhī to kyā hue
hai sāmnā fareb-e-mohabbat kā har-nafas
ik un se hoshiyār hue bhī to kyā hue
barham agar sukūn-e-do-ālam na ho sakā
yuuñ husn par nisār hue bhī to kyā hue
hai zindagī 'adīb' kī ab bhī hijāb meñ
ham us ke rāz-dār hue bhī to kyā hue
gham de ke gham-gusar hue bhi to kya hue
taDpa ke be-qarar hue bhi to kya hue
karna tha dagh ban ke kisi dil mein raushni
shama-e-sar-e-mazar hue bhi to kya hue
hona tha aap apne chaman mein shagufa-kar
sharminda-e-bahaar hue bhi to kya hue
miTte kisi ke ishq mein ai dil to baat thi
barbaad-e-rozgar hue bhi to kya hue
dil bhi hai pash-pash safina bhi pash-pash
tufan-e-gham se par hue bhi to kya hue
viraniyan dayar-e-mohabbat mein hain wahi
tum ghairat-e-bahaar hue bhi to kya hue
hain sar-nigun hanuz tumhaare niyaz-mand
tum ahl-e-iKHtiyar hue bhi to kya hue
sine mein dil ke nam se ab KHak bhi nahin
ab aap sharmsar hue bhi to kya hue
hans hans ke jhelna hai har uftad-e-shauq ko
ro ro ke kaamgar hue bhi to kya hue
hai samna fareb-e-mohabbat ka har-nafas
ek un se hoshiyar hue bhi to kya hue
barham agar sukun-e-do-alam na ho saka
yun husn par nisar hue bhi to kya hue
hai zindagi 'adib' ki ab bhi hijab mein
hum us ke raaz-dar hue bhi to kya hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.