gham diya hai to siwa hausla-e-gham dena
ġham diyā hai to sivā hausla-e-ġham denā
ye to ik aag hai phir kyā ise shabnam denā
ab bhī soī huī rātoñ kī thakan baaqī hai
ḳhvāb denā hoñ zarūrī to zarā kam denā
vaqt se hī mujhe ummīd masīhā.ī kī thī
vaqt hī bhuul gayā zaḳhm ko marham denā
us ne ta.abīr ke sab bhed chhupā.e ham se
jis ne sīkhā hai hameñ ḳhvāb kā aalam denā
gham diya hai to siwa hausla-e-gham dena
ye to ek aag hai phir kya ise shabnam dena
ab bhi soi hui raaton ki thakan baqi hai
KHwab dena hon zaruri to zara kam dena
waqt se hi mujhe ummid masihai ki thi
waqt hi bhul gaya zaKHm ko marham dena
us ne tabir ke sab bhed chhupae hum se
jis ne sikha hai hamein KHwab ka aalam dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.