gham-e-ayyam ki zinda nishani dekhte jao
ġham-e-ayyām kī zinda nishānī dekhte jaao
bahut mash.hūr hai merī kahānī dekhte jaao
dil-e-mahjūr kā tum ko agar ho imtihāñ maqsūd
haiñ us ke naqsh tahrīrī zabānī dekhte jaao
kuchh aise lafz hote haiñ jo nashtar ban ke lagte haiñ
mafar mushkil musībat nā-gahānī dekhte jaao
tashaffī kar lo dil kī faal hī se aas bañdh jaa.e
kab aa.egī koī saa.at suhānī dekhte jaao
sharar-afshāñ agar aaheñ to diide ashk se labrez
hue aamez kyūñkar aag paanī dekhte jaao
ilāj-e-karb kī ḳhātir hai lāzim dil rahe yaksū
jo hoñ bīmār āñkheñ rang dhānī dekhte jaao
ḳhudā rakkhe hai kuchh dīvān-e-‘sāqī’ bhī jazāk-allāh
salāsat dekhte jaao ravānī dekhte jaao
gham-e-ayyam ki zinda nishani dekhte jao
bahut mashhur hai meri kahani dekhte jao
dil-e-mahjur ka tum ko agar ho imtihan maqsud
hain us ke naqsh tahriri zabani dekhte jao
kuchh aise lafz hote hain jo nashtar ban ke lagte hain
mafar mushkil musibat na-gahani dekhte jao
tashaffi kar lo dil ki fal hi se aas bandh jae
kab aaegi koi saat suhani dekhte jao
sharar-afshan agar aahen to dide ashk se labrez
hue aamez kyunkar aag pani dekhte jao
ilaj-e-karb ki KHatir hai lazim dil rahe yaksu
jo hon bimar aankhen rang dhani dekhte jao
KHuda rakkhe hai kuchh diwan-e-‘saqi’ bhi jazak-allah
salasat dekhte jao rawani dekhte jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.