gham-e-aziz koi to kunal hoga mujhe
ġham-e-'azīz koī to 'kunāl' hogā mujhe
bas ek baar huā to malāl hogā mujhe
banā.ūñ naav to merī jagah bachā lenā
ye mat samajhnā ki merā ḳhayāl hogā mujhe
usī jagah usī tārīḳh us Thikāne par
ye terā ġham hai jo har ek saal hogā mujhe
maiñ shahr aag lagāne chalūñ to Darnā mat
tirī salāmatī kā to ḳhayāl hogā mujhe
ghaḌī ke kāñTe maiñ ulTe ghumātā thā ki 'kunāl'
yaqīñ thā guzrā samay bhī bahāl hogā mujhe
gham-e-'aziz koi to 'kunal' hoga mujhe
bas ek bar hua to malal hoga mujhe
banaun naw to meri jagah bacha lena
ye mat samajhna ki mera KHayal hoga mujhe
usi jagah usi tariKH us Thikane par
ye tera gham hai jo har ek sal hoga mujhe
main shahr aag lagane chalun to Darna mat
teri salamati ka to KHayal hoga mujhe
ghaDi ke kanTe main ulTe ghumata tha ki 'kunal'
yaqin tha guzra samay bhi bahaal hoga mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.